📖 Surah — Roman Urdu Tarjuma aur Fazilat

Quran ki mashhoor Surton ka tarjuma aur fazilat, aasan Roman Urdu me. Teen Qul ka mukammal tarjuma maujood hai; baqi Surton ke tarjuma pages har hafte add hote rahenge.

Surah Ikhlas (112)

4 aayat. Tauheed ki mukammal Surah — Quran ka teesra hissa qarar di gayi hai.

Mukammal Tarjuma →

Surah Falaq (113)

5 aayat. Har shar se Allah ki panah mangne ki Surah — subah shaam parhi jati hai.

Mukammal Tarjuma →

Surah Naas (114)

6 aayat. Waswason se panah ki Surah — Quran ki aakhri Surah.

Mukammal Tarjuma →

Surah Mulk (67)

30 aayat, Makki. Har raat sone se pehle parhne ki fazilat mashhoor hai — ye Surah parhne wale ki sifarish karti hai.

Mukammal Tarjuma →

Surah Yaseen (36)

83 aayat, Makki. "Quran ka dil" kaha jata hai — aksar marhoomeen ke liye parhi jati hai.

Mukammal tarjuma jald aa raha hai.

Surah Rahman (55)

78 aayat, Madani. "Phir tum apne Rab ki kin kin nematyon ko jhutlaoge?" — baar baar dohraya jane wala sawal.

Mukammal tarjuma jald aa raha hai.

Surah Kahf (18)

110 aayat, Makki. Jumma ke din parhne ki fazilat — Dajjal ke fitne se hifazat ka zikr hai.

Mukammal tarjuma jald aa raha hai.

Surah Waqiah (56)

96 aayat, Makki. Rizq ki tangi se bachne ke liye har raat parhne ki fazilat mashhoor hai.

Mukammal tarjuma jald aa raha hai.

Aksar Pooche Jane Wale Sawal

Teen Qul kin Surton ko kehte hain?

Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah Naas ko teen Qul kehte hain — kyunki teeno "Qul" (Kaho) se shuru hoti hain.

Teen Qul kab parhni chahiye?

Subah shaam teen teen dafa, har namaz ke baad, aur sone se pehle parhna masnoon hai.

Baqi Surton ka tarjuma kab aayega?

Surah Mulk ka tarjuma add ho gaya hai — agle Yaseen, Rahman, Kahf aur Waqiah ek ek kar ke aayenge.

Mazeed Dekhen

⭐ Is page ko rate karen: